People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 6 *

Hey Satyanarayan Swami
Lyricist: Ramesh Gupta
Tag: Hindi
Video:
he saty narayan swami humre dukh haro
beda paar karo, beda paar karo

tum ho dev daya ke sagar
ab uddhar karo
beda paar karo, beda paar karo

ajar amar avichal avinashi
ghat ghat ke wasi
prabhu tum ghat ghat ke wasi
janam janam se tumre darsh ki
ankhiya hain pyasi
prabhu ji ankhiya hain pyasi
satya sanatan param brahm hari
hum par karipa karo
beda paar karo, beda paar karo
he saty narayan swami humre dukh haro
beda paar karo, beda paar karo

sada nand brahman ke
prabhu ji tumne kasht hare
pabhu ji tumne kasht hare
lakadhare bhil ke tumne
karaj pidh chale
prabhu ji karaj pidh chale
hai tufan me jivan naiya
kar patwar dharo
beda paar karo, beda paar karo

sadhu arsh ke bandhan kate
sukh sampati dine
swami sukh sampati dine
ulka mukh raja par tumne
badi kripa kini
prabhu ji badi kripa kini
bure bhale hum tumre syane
vinay pe dhyan dharo
beda paar karo, beda paar karo
bolo saty narayan dev ki jai
bolo saty narayan dev ki jai
bolo saty narayan dev ki jai
Hariye Na Himmat
Music: Avinash Vyas
Lyricist: Ramesh Gupta
Tag: Hindi
Video:
ram nam ki loot hai loot sake to lut
ae ant samay pachtayega jab pran jayenge chut re

hariye na himmat bisariye na ram
bisariye na ram kabhi har kabhi jeet
ye hai jivan sangram ye hai jivan sangram

hariye na himmat bisariye na ram
bisariye na ram kabhi haar kabhi jeet
ye hai jivan sangram ye hai jivan sangram
hariye na himmat bisariye na ram
bisariye na ram kabhi haar kabhi jeet
ye hai jivan sangram ye hai jivan sangram

jako rakhe saiya maar sake na koi
baal na baka kar sake jo jag bairi hoye
ram bhajo ram bhajo ram bhajo ram
lage koi na daam lage koi na daam
ram bhajo ram bhajo ram bhajo ram
lage koi na daam lage koi na daam
hariye na himmat bisariye na ram
bisariye na ram kabhi har kabhi jeet
ye hai jivan sangram ye hai jivan sangram

hariye na himmat bisariye na ram
bisariye na ram kabhi haar kabhi jeet
ye hai jivan sangram ye hai jivan sangram
ram bhajo ram bhajo ram bhajo ram bhajo
ram bhajo ram bhajo ram bhajo ram bhajo
ram bhajo ram bhajo ram bhajo ram bhajo
ram bhajo ram bhajo
Waah Re Waah Bhagawan
Singer: Manna Dey
Music: Manna Dey
Lyricist: Ramesh Gupta
Tag: Hindi
Video:
wah re wah bhagvan
banaya kya tune insan
is fareb ke putle se to
hai acha shaitan, hai acha shaitan

hazar hath wale, mandir pe dwar khule
aur tere muh pe tale, hazar hath wale
hazar hath wale, mandir ke dwar khule
aur tere muh pe tale, hazar hath wale

kisi ke ghar tu rim jhim barse
koi bund pani ko tarse
kisi ke ghar tu rim jhim barse
koi bund pani ko tarse
kahi bhare bhandaar dev ke
kahi roti ke laale
tere muh pe tale hazar hath wale

ek baar mukh khol bol
o mohan muraliya wale
tere muh pe tale hazar hath wale
hazar hath wale
mandir ke dwar khule
aur tere muh pe tale, hazar hath wale

sadhu sanyasi sansari
aaj bane lobhi vyavchari
daya dharam bhule nar nari
aaj pujari bane jugari
o teri murti ke sanmukh hi
hote karm kale
tere muh pe tale hazar hath wale
hazar hath wale
mandir ke dwar khule
aur tere muh pe tale, hazar hath wale

thag pandit ban kare aarti
bhagat mare tere bukhe
thag pandit ban kare aarti
bhagat mare tere bukhe
satay neeti par chalne wale
paye na tukde sukhe
satay neeti par chalne wale
paye na tukde sukhe
o moti ko di punji tune
dani ko diwaane
tere muh pe tale hazar hath wale
hazar hath wale
mandir ke dwar khule
aur tere muh pe tale, hazar hath wale

paise se teri pooja hove
mandir bahar bike parsaad
paise se teri pooja hove
mandir bahar bike parsaad
bina swarth koi is dunia me
kare na tujhko yad
o sacha sadhu payi na paye
dhogi ko dushale
tere muh pe tale hazar hath wale
hazar hath wale
mandir ke dwar khule
aur tere muh pe tale, hazar hath wale

naam hai tera deen dayalu
dukh harta sukh data
nam hai tera deen dayalu
dukh harta sukh data
kintu aaj kal tu bhi
shri manto ke bhog lagata
kintu aaj kal tu bhi
shri manto ke bhog lagata
bhojan kaise bhau shabd
tere geeta banane wale
tere muh pe tale hazar hath wale
hazar hath wale
mandir ke dwar khule
aur tere muh pe tale, hazar hath wale
Dukh Ke Din Nahi Beete
Singer: Geeta Dutt
Lyricist: Ramesh Gupta
Tag: Telugu
Video:
dukh ke din naahi beete sawariya
aa ke lo ab hamri khabariya
aa ke lo ab hamri khabariya
dukh ke din naahi beete sawariya

ankhiyan me asuwan ki mala
ankhiyan me asuwan ki mala
dil me jalat birha ki jwala
dil me jalat birha ki jwala
tare gin gin rein kate mori
tare gin gin rein kate mori
chain se soye sari nagariya
dukh ke din naahi beete sawariya
dukh ke din naahi beete

chanda bin jaise tadpe chakori
chanda bin jaise tadpe chakori
tumhre bina soyi halat mori
tumhre bina soyi halat mori
pal nahi chain nain nahi nindiya
pal nahi chain nain nahi nindiya
tadpu mai jaise jal ki machaliya
dukh ke din naahi bite sawariya
dukh ke din naahi bite

jabse tum mohe chhod sidhare
jabse tum mohe chhod sidhare
raah taku nit sanjh sakha re
raah taku nit sanjh sakha re
kabhu sudh budh lini na hamri
kabhu sudh budh lini na hamri
tumhre viyog me bani mai bawariya
dukh ke din naahi bite
Jai Ganesh...(3) Deva
Singer: Mohammad Rafi
Lyricist: Ramesh Gupta
Tag: Hindi
Video:
jai ganesh jai ganesh jai ganesh deva
jai ganesh jai ganesh jai ganesh deva
mata tumhari parvati pita mahadeva
mata tumhari parvati pita mahadeva
jai ganesh jai ganesh jai ganesh deva
mata tumhari parvati pita mahadeva
mata tumhari parvati pita mahadeva

pan chade pushp chade or chade meva
pan chade pushp chade or chade meva
ladduo ka bhog lage
ladduo ka bhog lage sant kare seva
jai ganesh jai ganesh jai ganesh deva
mata tumhari parvati pita mahadeva
jai ganesh devajai ganesh deva

ek dant dayawant chatar bhuja dhari
ek dant dayawant chatar bhuja dhari
mathe pe sindur viraje muse ki sawari
mathe pe sindur viraje muse ki sawari
jai ganesh jai ganesh jai ganesh deva
mata tumhari parvati pita mahadeva
mata tumhari parvati pita mahadeva

andhe ko aankh de kodhin ko kaya
andhe ko aankh de kodhin ko kaya
banjhan ko put de nirdhan ko maya
banjhan ko put de nirdhan ko maya
jai ganesh jai ganesh jai ganesh deva
mata tumhari parvati pita mahadeva
mata tumhari parvati pita mahadeva
jai ganesh deva jai ganesh deva
Kaahe Ko Bisara
Singer: Talat Mahmood
Music: Avinash Vyas
Lyricist: Ramesh Gupta
Tag: Hindi
Video:
kahe ko bisara sat nam
o baba tune kahe ko bisara hari nam
o baba tune kahe ko bisara hari nam
kahe ko bisara sat nam
o baba tune kahe ko bisara hari nam

jhuth na chodi tune
pap na choda tune pap na choda
daya dharam se kyu mukh moda
tan bhi vyakul man bhi vyakul vyakul tan
o baba tune kahe ko bisara hari nam
kahe ko bisara sat nam
o baba tune kahe ko bisara hari nam

jhutha rishta jhutha nata
kahe birkha janam gawata
maya jal ko tod ke pagle chakar shabd pahchan
o baba tune kahe ko bisara hari nam
kahe ko bisara sat nam
o baba tune kahe ko bisara hari nam

nam rahega teri deh jalegi
satya ki kunji tere sath chalegi
parbhu ke bhajan bina aakhir tere
parbhu ke bhajan bina aakhir tere
koi na aaye kam
o baba tune kahe ko bisara hari nam